Tuesday, July 16, 2019

Aisa Sheher hai mera

Swatch hawa bhi bikati hai yahan
Is shehar Ko ye huaa kya
Jahan Taare chutti par hai
Aisa sheher hai mera

Yahan hawa madhosh hai
Yahan log behosh hai
Ye paish andeshi hai kya
Ya tufaan se pehle
 Ki khamoshi hai kya

Yahan chidya nai gaati
Yahan barish nai hoti
Ye koi sajish hai kya
Ye koi bhayanak parchai hai kya
Ya manushye ki laparwahi hai kya

Jahan machli jal ki Rani nai hai
Jahan Jeeva uska milawati hai
Naseeb mein uske plastic hi hai
Uska ant ab kuch nazdeek hi hai

Mausam bhi moody hai Haye re
Prakrati ne bhula diye Apne saare kayade
Ye prakrati ka bachpana hai kya
Humne uski
Pukhtagi Ko kuchal Dia hai kya

Ab sabjiyan bhi dikhawati ho gai
Manushye toh bahut pehle ho chala tha
Aaj ki peedi hai bahut samajdar
Fir Kyun nai sunti Kudrat ka izhaar

Aaj bachhe bhi IVF se ho jaate hain
Sab kuch fast hai yahan
Lekin prakrati slow ho Chali hai
Kudrat kuch naraz  si hai
Khana Zeher
Pani tejaab
Hawa madhosh
Kuch bhi asli nai hai

Aadmi bhi khokla ho Gaya hai
Pedon ki tarah
Sachhai ka koi mahatava nai hai ab
Sab chalta hai yahan
Pal bhar ke rishte bhi hai aaj yahan
Aaj artificial rain bhi hai
Insaan jo chahe voh bana Sakta hai
Lekin Kudrat kuch naraz si hai

Sab yahan bhaag rahe hai
Kiske peeche??
Kahan jana chahte ho tum?
Sabse khoobsurat kya hai
Sirf ek tabassum
Lekin kya chod kar Jaa rahe ho tum
Ek jehennum
Jahan palti hai Galat aadatein
Jahan badd dua hai takniki farishte

Thoda thahar jaao aur socho
Kahan Jaa rahe ho
Kya kar rahe ho
Kiska Bhala ho Raha hai
Kya achha waqt ab khatam ho Raha hai

© Priya Jain